Dhali jo sham nazar se utar gaya suraj 
hawa kisi ne uDa di ki mar gaya suraj 
sahar hui nahin kab se guzishta sham ke baad 
ghurub ho ki na jaane kidhar gaya suraj 
saji hui hai sitaron ki anjuman ai dil 
ki para para falak par bikhar gaya suraj 
laga ki khinch li us ne zamin pairon se 
laga ki talwon ko chhu kar guzar gaya suraj 
ye kaisa jalwa ke binai luT gai meri 
ki meri aankh ke andar utar gaya suraj 
chhupa tha maslahatan sham se sameT ke nur 
muhib raat ye samjhi ki Dar gaya suraj 
shafaq tamam lahu-rang ho gaya lekin 
hujum-e-gham se bahut pur-jigar gaya suraj 
hamesha taj ka iqbaal yun buland raha 
jidhar jidhar nazar aaya udhar gaya suraj
        Ghazal
Dhali jo sham nazar se utar gaya suraj
Husain Taj Rizvi

