Dhal gai hasti-e-dil yun teri ranai mein
madda jaise nikhar jae tawanai mein
pahle manzil pas-e-manzil pas-e-manzil aur phir
raste Dub gae aalam-e-tanhai mein
gahe gahe koi jugnu sa chamak uThta hai
mere zulmat-kada-e-anjuman-arai mein
DhunDhta phirta hun KHud apni basarat ki hudud
kho gai hain meri nazren meri binai mein
un se mahfil mein mulaqat bhi kam thi na magar
uf wo aadab jo barte gae tanhai mein
yun laga jaise ki bal kha ke dhanak TuT gai
us ne waqfa jo liya naz se angDai mein
kis ne dekhe hain teri ruh ke riste hue zaKHm
kaun utra hai tere qalb ki gahrai mein
Ghazal
Dhal gai hasti-e-dil yun teri ranai mein
Rais Amrohvi