dhaDkanen dil ki gine KHun mein rawani mange
zindagi ishq ki ai dost jawani mange
pesh kar dagh agar dil pe koi khaya ho
ishq har aashiq-e-sadiq se nishani mange
zulf-e-shab-gun tere shane pe khuli nagin hai
Das le ye jis ko na phir uTh ke wo pani mange
aadmi ahd-e-jawani mein raha munkir-e-gham
ab gham-e-dil ki KHabar hai to jawani mange
husn har gam pe qaem kare ek taza hijab
ishq parde ki ye diwar girani mange
din ko soti hai mohabbat ki kashish aankhon mein
raat ko chand sitaron ki kahani mange
mai-kade mein mere saqi ka naya hukm ye hai
sham ko pyas lage subh ko pani mange
dilbari pesha hai ye chor bhi apne dil ka
aankh har ek haqiqat se churani mange
kya nae dost-nawazo ka bharosa hai 'nushur'
dosti ye hai ki wo rasm purani mange
Ghazal
DhaDkanen dil ki gine KHun mein rawani mange
Nushur Wahidi