dhaDka tha dil ki pyar ka mausam guzar gaya
hum Dubne chale the ki dariya utar gaya
KHwabon ki wo mata-e-giran kis ne chhin li
kya jaaniye wo nind ka aalam kidhar gaya
tum se bhi jab nashat ka ek pal na mil saka
main kasa-e-sawal liye dar-ba-dar gaya
bhule se kal jo aaina dekha to zehn mein
ek munhadim makan ka naqsha utar gaya
tez aandhiyon mein panw zamin par na Tik sake
aaKHir ko main ghubar ki surat bikhar gaya
gahra sukut raat ki tanhaiyan khanDar
aise mein apne aap ko dekha to Dar gaya
kahta kisi se kya ki kahan ghumta phira
sab log so gae to main chupke se ghar gaya
Ghazal
DhaDka tha dil ki pyar ka mausam guzar gaya
Nashtar Khaanqahi