Dhate hain ab wo zulm-o-sitam kam bahut hi kam
yani hai un ka lutf-o-karam kam bahut hi kam
jis rah mein hain ranj-o-alam kam bahut hi kam
uThte hain us pe mere qadam kam bahut hi kam
is se murad ye to nahin dil hai mutmain
mana hai meri aankh mein nam kam bahut hi kam
ai dost aur hai tera dil aur hi zaban
ab tujh ko munh lagaenge hum kam bahut hi kam
fard-e-gunah dekh ke yarab saza na de
niyyat meri hai is mein raqam kam bahut hi kam
haq-go ki baat baat ko izhaar-e-haq samajh
khae agar KHuda ki qasam kam bahut hi kam
rindon ke dam se shaiKH hua chand id ka
aata hai waz karne ko kam kam bahut hi kam
ab faqa-mastiyon se ye aadat si ho gai
khata hun rizq ki bhi qasam kam bahut hi kam
saqi ki chashm-e-mast ki hai baat hi kuchh aur
hai us ke aage baada-e-jam kam bahut hi kam
ai qais agar zamin-e-ghazal ho na sanglaKH
chalta hai us mein pa-e-qalam kam bahut hi kam
Ghazal
Dhate hain ab wo zulm-o-sitam kam bahut hi kam
Qais Jalandhari