dhaar si taza lahu ki shabnam-afshani mein hai
subh ek bhigi hui palkon ki tabani mein hai
aankh hai labrez shayad ro paDega tu abhi
jaise zillat ka mudawa aankh ke pani mein hai
main nahin haara tu mere hausle ki dad de
ek naya azm-e-safar is KHasta-samani mein hai
be-samar be-rang mausam barf ki surat safed
aur dil umDe hue rangon ki tughyani mein hai
aag hai sine mein tere maujzan tu yaad rakh
shama si raushan andhere ghar ki virani mein hai
an-ginat rangon ke par bikhre paDe hain har taraf
waqt ka ghayal parinda phir se jaulani mein hai
kis ghane jangal mein ja kar ab chhupen basti ke log
aankh si ubhri hui suraj ki peshani mein hai
Ghazal
Dhaar si taza lahu ki shabnam-afshani mein hai
Wazir Agha