dhani surmai sabz gulabi jaise man ka aanchal sham
kaise kaise rang dikhae roz labaalab chhagal sham
charwahe ko ghar pahunchae pahre-dar se ghar chhuDwae
aate jate chheDti jae darwaze ki sankal sham
suraj ke papon ki gaThri sar par lade thaki thaki si
KHamoshi se munh laTkae chal deti hai paidal sham
behis duniya-daron ko ho duniya ki har chiz mubarak
gham-zadon ka sarmaya hain aansu aahen botal sham
suraj ke jate hi apne rang pe aa jati hai duniya
jaane-bujhe chup rahti hai shab ke moD pe komal sham
sanson ki pur-shor Dagar pe raqs karega sannaTa
chupke se jis roz achanak chhanka degi pael sham
'badr' tumhein kya haal sunain itna hi bas kafi hai
tanhai mein kaT jati hai jaise-taise maKHmal sham
Ghazal
Dhani surmai sabz gulabi jaise man ka aanchal sham
Badr Wasti