deti nahin aman jo zamin aasman to hai
kahne ko apne dil se koi dastan to hai
yun to hai rang zard magar honT lal hain
sahra ki wusaton mein kahin gulsitan to hai
ek chil ek mumTi pe baiThi hai dhup mein
galiyan ujaD gai hain magar pasban to hai
aawaz de ke dekh lo shayad wo mil hi jae
warna ye umr bhar ka safar raegan to hai
mujh se bahut qarib hai tu phir bhi ai 'munir'
parda sa koi mere tere darmiyan to hai
Ghazal
Deti nahin aman jo zamin aasman to hai
Muneer Niyazi