deti hain thapkiyan teri parchhaiyan mujhe
rashk-e-bahisht hain meri tanhaiyan mujhe
mere nasib mein sahi aah-o-fughan magar
ab to sunai deti hain shahnaiyan mujhe
kitne uruj par hai mere ishq ka waqar
hasil hain ku-e-yar ki ruswaiyan mujhe
mail hai chashm-e-mast idhar lag raha hai ab
aawaz dengi jhil ki gahraiyan mujhe
qaem hai mere dard ka ab tak wahi bharam
ab bhi salam karti hain purwaiyan mujhe
is daur-e-sarkashi ki kashakash ke darmiyan
lagti hai pur-sukun jabin-saiyan mujhe
jo the KHarab wo to bulandi pe hain 'alim'
pasti mein le gain meri achchhaiyan mujhe
Ghazal
Deti hain thapkiyan teri parchhaiyan mujhe
Aleem Usmani