deta hai mujh ko charKH-e-kuhan bar bar dagh
uf ek mera sina hai us par hazar dagh
dete hain mere sine mein kya hi bahaar dagh
khae na un ko dekh ke kyun lala-zar dagh
lala karega dil ki mere kya barabari
us par hai ek dagh yahan be-shumar dagh
duniya ke sare sadme hain kam hijr-e-yar se
de muddai ko bhi na ye parwardigar dagh
rakhta hai ishq-e-lala-ruKHan dil mein wo nihan
sine pe mahtab ke hai aashkar dagh
zulmat se di najat dil-e-daghdar ne
raushan misal-e-shama hai zer-e-mazar dagh
har dam na kyun lagae rakhen sine se use
ek mah-ru ke ishq ki hai yaadgar dagh
qatil mere lahu ne bhi kya gul khilae hain
daman pe tere dete hain kya hi bahaar dagh
jo zulm chahe rakh dil-e-'ranjur' par rawa
de tu magar use na judai ka yar dagh

Ghazal
Deta hai mujhko charKH-e-kuhan bar bar dagh
Ranjoor Azimabadi