der tak main tujhe dekhta bhi raha 
sath ek soch ka silsila bhi raha 
main to jalta raha par meri aag mein 
ek shola tere nam ka bhi raha 
shahr mein sab se chhoTa tha jo aadmi 
apni tanhaiyon mein KHuda bhi raha 
zindagi yaad rakhna ki do chaar din 
main tere waste masala bhi raha 
rang hi rang tha shahr-e-jaan ka safar 
rah mein jism ka hadsa bhi raha 
tum se jab guftugu thi to ek ham-suKHan 
koi jaise tumhaare siwa bhi raha 
wo mera ham-nashin ham-nawa ham-nafas 
bhunkta bhi raha kaTta bhi raha
        Ghazal
Der tak main tujhe dekhta bhi raha
Rais Farogh

