اردو हिंदी
Der tak koi kisi se bad-guman rahta nahin | Shaahi Shayari
der tak koi kisi se bad-guman rahta nahin

Ghazal

Der tak koi kisi se bad-guman rahta nahin

Afzal Gauhar Rao

;

der tak koi kisi se bad-guman rahta nahin
wo wahan aata to hoga main jahan rahta nahin

ek main hun dhup mein kitna safar tai kar liya
ek tu hai jo kabhi be-saeban rahta nahin

tum ko kyun peDon pe likkhe nam miTne ka hai dukh
is badalti rut mein patthar par nishan rahta nahin

wo bana leta hai apna ghonsla diwar mein
jis parinde ka shajar mein aashiyan rahta nahin

tu parindon ki tarah uDne ki KHwahish chhoD de
be-zamin logon ke sar par aasman rahta nahin