der tak ek saya-e-abr guman dekha hua
aag banta ja raha hai saeban dekha hua
phir isi shiddat ki Tisen hain dil-e-kaj-fahm mein
phir wahi hai majma-e-chaara-garan dekha hua
dekhta rahta hun shaklen sochta rahta hun nam
DhunDhta phirta hun aks-e-na-gahan dekha hua
raaz hai koi jo mujh par munkashif hone ko hai
kis liye lagta hai an-dekha jahan dekha hua
kya kahun kis kaif mein gum hai meri chashm-e-KHayal
har koi mahsus hota hai yahan dekha hua
jhuT Thahra hai 'munawar' un ruton ke darmiyan
KHwab-e-imkan-e-numu paiwand-e-jaan dekha hua
Ghazal
Der tak ek saya-e-abr guman dekha hua
Munawwar Aziz