der tak chand muKHtasar baaten
us se kin main ne aankh bhar baaten
tu mere pas jab nahin hota
tujh se karta hun kis qadar baaten
kaisi bechaargi se karte hain
be-asar log ba-asar baaten
dekh bachchon se guftugu kar ke
kaisi hotin hain be-zarar baaten
sun kabhi be-KHudi mein karte hain
be-KHabar log ba-KHabar baaten
us ki aadat hai baat karne ki
wo karega idhar udhar baaten
intihai hasin lagti hai
jab wo karti hai ruTh kar baaten
aa mujhe sun ki ho tujhe malum
kaisi hoti hain KHub-tar baaten
sahl kaT jae ye tawil safar
aur kar mere ham-safar baaten
koi sunta na ho kahin 'asim'
yun na kar us se phone par baaten
Ghazal
Der tak chand muKHtasar baaten
Asim Wasti