اردو हिंदी
Der ho jaegi phir kis ko sunai doge | Shaahi Shayari
der ho jaegi phir kis ko sunai doge

Ghazal

Der ho jaegi phir kis ko sunai doge

Shahzad Qamar

;

der ho jaegi phir kis ko sunai doge
dasht KHud bol uThega to duhai doge

ab to is parda-e-aflak se bahar aa jao
hum bhi ho jaenge munkir to dikhai doge?

ab asiran-e-qafas jaise qafas mein bhi nahin
ab kahan hogi rihai jo rihai doge

shamen raushan hain to kya aalam-e-be-chehragi mein
tum koi bhi ho magar kis ko sujhai doge

hum to izhaar ke qael the hamesha ki tarah
kab tawaqqo thi ki nale ko rasai doge

kya KHabar thi meri mehnat ke sile mein tum bhi
mere hathon mein ye kashkol-e-gadai doge

hum to is wasl-e-mukarrar pe bhi KHush the 'shahzad'
jab ye malum tha ek aur judai doge