dena hai to nigah ko aisi rasai de
main dekhta hun aaina to mujhe tu dikhai de
kash aisa tal-mel sukut-o-sada mein ho
us ko pukarun main to usi ko sunai de
ai kash is maqam pe pahuncha de us ka pyar
wo kaamyab hone pe mujh ko badhai de
mujrim hai soch soch gunahgar sans sans
koi safai de to kahan tak safai de
har aane jaane wale se baaten teri sunun
ye bhik hai bahut mujhe dar ki gadai de
ya ye bata ki kya hai mera maqsad-e-hayat
ya zindagi ki qaid se mujh ko rihai de
kuchh ehtiram apni ana ka bhi 'nur' kar
yun baat baat par na kisi ki dahai de
Ghazal
Dena hai to nigah ko aisi rasai de
Krishn Bihari Noor