اردو हिंदी
Dekhun wo karti hai ab ke alam-arai ki main | Shaahi Shayari
dekhun wo karti hai ab ke alam-arai ki main

Ghazal

Dekhun wo karti hai ab ke alam-arai ki main

Hasan Aziz

;

dekhun wo karti hai ab ke alam-arai ki main
haarta kaun hai is jang mein tanhai ki main

bhul baiTha hun ki aflak bhi kuchh hote hain
apni wusat mein mili mujh ko wo gahrai ki main

aaj tak apni rihai ki dua karta hun
ab ke zanjir hawaon ne wo pahnai ki main

KHud ko pane laga tanhai ki tariki mein
is qadar shoKH hua rang-e-shanasai ki main

rang-e-tabir andheron se uTha leta hun
kaun KHwabon ko ata karta hai binai ki main

gosha-e-dasht mein yunhi to nahin baiTha hun
safar aasan karega koi saudai ki main

us ki har baat pe iman nahin rakhta hun
kuchh to tahrir pe ho hashiya-arai ki main

rakhne wala hun qadam qarya-e-shohrat mein 'hasan'
hamla-awar na kahin ho sag-e-ruswai ki main