dekhun to kahan tak wo talattuf nahin karta
aare se agar chire to main uf nahin karta
tum dete ho taklif mujhe hoti hai rahat
sach jaaniye main is mein takalluf nahin karta
sab baaten unhin ki hain ye sach boliyo qasid
kuchh apni taraf se to tasarruf nahin karta
sau KHauf ki ho jae magar rind-e-nazar-baz
dil jalwa-gah-e-lanshaf-o-shuf nahin karta
shoKHi se kisi tarah se chain us ko nahin hai
aata hai magar aa ke tawaqquf nahin karta
us shoKH-e-sitamgar se paDa hai mujhe pala
jo qatl kiye par bhi tassuf nahin karta
jo kuchh hai ana mein wo Tapakta hai ana se
kuchh aap se main zikr-e-tasawwuf nahin karta
taskin ho kya wade se mashuq hai aaKHir
har chand suna hai ki taKHalluf nahin karta
kya haal tumhaara hai hamein bhi to batao
be-wajh koi 'shefta' uf uf nahin karta
Ghazal
Dekhun to kahan tak wo talattuf nahin karta
Shefta Mustafa Khan