dekhte hain raqs mein din raat paimane ko hum
saqiya ras aa gae hain tere mai-KHane ko hum
le ke apne sath ek KHamosh diwane ko hum
ja rahe hain hazrat-e-naseh ko samjhane ko hum
yaad rakkhenge tumhaari bazm mein aane ko hum
baiThne ke waste aghyar uTh jaane ko hum
husn majbur-e-sitam hai ishq majbur-e-wafa
shama ko samjhaen ya samjhaen parwane ko hum
rakh ke tinke Dar rahe hain kya kahega baghban
dekhte hain aashiyan ki shaKH jhuk jaane ko hum
uljhanen tul-e-shab-e-furqat ki aage aa gain
jab kabhi baiThe kisi ki zulf suljhane ko hum
raste mein raat ko muDbheD saqi kuchh na puchh
muD rahe the shaiKH-ji masjid ko but-KHane ko hum
shaiKH-ji hota hai apna kaam apne hath se
apni masjid ko sambhaalen aap but-KHane ko hum
do ghaDi ke waste taklif ghairon ko na de
KHud hi baiThe hain teri mahfil se uTh jaane ko hum
aap qatil se masiha ban gae achchha hua
warna apni zindagi samjhe the mar jaane ko hum
sun ke shikwa hashr mein kahte ho sharmate nahin
tum sitam karte phiro duniya pe sharmane ko hum
ai 'qamar' Dar tu ye hai aghyar dekhenge unhen
chandni shab mein bula laen bula lane ko hum
Ghazal
Dekhte hain raqs mein din raat paimane ko hum
Qamar Jalalvi