dekhte hain jab kabhi iman mein nuqsan shaiKH
aune-paune bech Dala karte hain iman shaiKH
baad muddat ke jahan mein rahzanon ke din phire
sunte hain phir ho gae hain ab police kaptan shaiKH
har zaban par zikr-e-haq aur dil mein hai yaad-e-butan
ye nahin khulta ki hain insan ya shaitan shaiKH
ahl-e-shar to aap ko kahte hain amm-e-mohtaram
aur shaitan aap ko kahta hai bhai-jaan shaiKH
be-takalluf hath dho kar baiTh jate hain zarur
dekh lete hain bichha jis ja pe dastar-KHwan shaiKH
shauq hai lekin KHilaf-e-waza apni jaan kar
mol le kar KHud kabhi khate nahin ek pan shaiKH
go tajawuz kar chuke hain aap bhi sau sal se
byah ka rakhte hain lekin aaj bhi arman shaiKH
jab ki bimar-e-mohabbat ka nahin mumkin ilaj
de rahe hain phunk kar bekar use loban shaiKH
kaid ho hirs-o-hawas ho ya fareb-o-makr ho
aap hi ke hath rahta hai har ek maidan shaiKH
'shauq'-sahab un ki rag rag se hain waqif KHub hum
us ka ho jae diwala jis ke hon mehman shaiKH
Ghazal
Dekhte hain jab kabhi iman mein nuqsan shaiKH
Shauq Bahraichi