dekhte dekhte jab maut sitare ki hui
phir koi subh kahan KHwab ke mare ki hui
wo muhajir tha muhajir ka muhajir hi raha
kab tere shahr mein tadbir guzare ki hui
us ke farman sabhi dil ki siyahi ne likhe
aisi tauhin kahan nur-nazare ki hui
bujhte bujhte bhi hui aatish-e-jaan tez bahut
aur jo rasm thi baqi wo sharare ki hui
zindagi bhi kisi bazar ki aurat ki tarah
na biyahe ki hui aur na kanware ki hui
kya sunaun tujhe rudad-e-safar kaisi hai
dhup aamad ki hui chhanw KHasare ki hui
yun to wo chand bhi be-dagh nahin tha 'KHurshid'
aur mujh se bhi KHata ek ishaare ki hui
Ghazal
Dekhte dekhte jab maut sitare ki hui
Khursheed Akbar