dekhta rahta hun main teri ghazali aankhen
dekh to tu bhi zara meri sawali aankhen
chashm-e-ahu se na nargis se hai tashbih durust
hain misal aap hi wo apni nirali aankhen
barhami husn ko kuchh aur jila deti hai
wo jamali tera chehra wo jalali aankhen
aa ke har roz tasawwur mein bana jati hai
ek rangin si taswir KHayali aankhen
KHat paDhe ya na paDhe aae na aae wo shoKH
'KHar' kyun bhej na den dekhne wali aankhen
Ghazal
Dekhta rahta hun main teri ghazali aankhen
Khar Dehlavi