dekhta rahta hun aksar sham-e-qudrat dekh kar
KHub-surat dekhta hun KHub-surat dekh kar
meri niyyat dekh kar meri tabiat dekh kar
ruk gaya rang-e-majaz apni haqiqat dekh kar
naz-bardari ki ujrat koi Thahraata nahin
dene wale de diya karte hain mehnat dekh kar
naz bhi tum ko mila andaz bhi tum ko mile
kya buto allah bhi deta hai surat dekh kar
shadmani dekhne walo hamein bhi dekh lo
KHush hue the hum bhi saman-e-masarrat dekh kar
khelne ko jaan par kafi hai jism-e-zar bhi
tum mujhe kya dekhte ho meri himmat dekh kar
kis ki bu pa kar chaman mein chaar din Thahri bahaar
ram gai phulon mein bu kis ki shabahat dekh kar
kuchh nahin achchha to duniya mein bura bhi kuchh nahin
kijiye sab kuchh magar apni zarurat dekh kar
Ghazal
Dekhta rahta hun aksar sham-e-qudrat dekh kar
Natiq Gulavthi