dekhta kuchh hun dhyan mein kuchh hai
hai yaqin kuchh guman mein kuchh hai
sanam apne ko hum KHuda jo kahen
kab qusur us ki shan mein kuchh hai
kuchh na dekha kisi makan mein hum
kahte hain la-makan mein kuchh hai
tishna-e-KHun hain lal-e-lab tere
surKHi-e-rang-e-pan mein kuchh hai
tere didar ki hawas ke siwa
dekh to meri jaan mein kuchh hai
tu jo talwar khinche hai mujh par
zaKHm bhi darmiyan mein kuchh hai
dekh to ab jafa-kashi ki tab
mujh dil-e-na-tawan mein kuchh hai
dekh kar mujh ko naza mein tu ne
na kaha is jawan mein kuchh hai
hum ko paTka zamin ke upar
gardish-e-asman mein kuchh hai
faeda tujh ko ai za-KHud ghafil
fikr-e-sud-o-ziyan mein kuchh hai
ye zamana 'muhib' ba-qaul 'dard'
aan mein kuchh hai aan mein kuchh hai
Ghazal
Dekhta kuchh hun dhyan mein kuchh hai
Waliullah Muhib