dekho to zara ghazab KHuda ka
zalim ne mujhi ko pahle taka
allah ata kare qanaat
nusKHa wajib-ul-ada ka
dil deta hun muft aur koi
pursan nahin naqd-e-narawa ka
wan mujh pe jafaen ho rahi hain
yan wird hai lafz-e-marhaba ka
aana ho to naza mein hun aao
ye waqt nahin hai iltawa ka
ab aae ho ban ke tum masiha
jab waqt guzar chuka dawa ka
daman mein rawan hain ashk-e-gulgun
mahzar hai ye KHun-e-muddaa ka
laya to hai un ko jazb-e-ulfat
aaya to hai dhyan be-nawa ka
main ho hi chuka tha zinda dargor
tum aa gae shukr hai KHuda ka
duniya se guzar chuke to 'parwin'
jhagDa na raha fana baqa ka
Ghazal
Dekho to zara ghazab KHuda ka
Parveen Umm-e-Mushtaq