dekho to mere nala-o-ah-o-fughan ki or
ban is kaDak se jawe hai kab aasman ki or
masjid ko chhoD aae kalisaiyan ki or
chhoDa nawah-e-kaba chale hum butan ki or
zahid tere kamal pe maren hain pusht-e-pa
lae faro sar apna jo pir-e-mughan ki or
sukh nind be-KHudi ki use turt aa gai
laga jo gosh Tuk bhi meri dastan ki or
TukDe jigar ke bah chale ham-rah-e-sail-e-ashk
lata hai khinch KHar-o-KHas aab-e-rawan ki or
zalim silah bandh ke aana ba-qasd-e-qatl
kya hai zarur, apne kisi nim-jaan ki or
kuchh kam nahin teri nigah-o-abru-o-mizha
mat hath la tu KHanjar-o-tegh-o-sinan ki or
teri nigah-e-mehr ne mujh se wo kuchh kiya
jo kuchh ki chashm-e-mah kare hai katan ki or
un ankhDiyon ki putliyon se aankh ja lagi
ja phirti nain nigah ab un abruwan ki or
misra ye apna aaya 'jahandar' hum ko yaad
chhoDa nawah-e-kaba chale hum butan ki or
Ghazal
Dekho to mere nala-o-ah-o-fughan ki or
Meerza Jawan Bakht Jahandar