dekho to kis ada se ruKH par hain Dali zulfen
jun mar Dasti hain dil dilbar ki kali zulfen
chahe hain jis na tis ko bandhen girah mein apni
dil lene ko bala hain ye pech wali zulfen
misl-e-salasil is mein uqde hazar-ha hain
Tuk pech-o-tab se main dekhin na KHali zulfen
mar-siyah juda kab rahta hai ganj-e-zar se
hoti nahin hain us ke ruKH se nirali zulfen
thi raat jo yakayak din dekhne lage sab
jab 'aftab' us ne ruKH se uTha li zulfen
Ghazal
Dekho to kis ada se ruKH par hain Dali zulfen
Aftab Shah Alam Sani