dekho ki dil-jalon ki kya KHub zindagi hai
parwane jal chuke hain aur shama jal rahi hai
kahne ko muKHtasar sa ek lafz hai mohabbat
lekin usi mein sari duniya chhipi hui hai
KHwab-e-hasin se mujh ko chaunka diya hai kis ne
kis ne chaman mein aa kar aawaz mujh ko di hai
dekho zara farogh-e-husn-e-bahaar dekho
ek ek kali chaman ki dulhan bani hui hai
lae bashar kahan se us husn ki misalen
qudrat jise bana kar hairat mein kho gai hai
bujhti nahin hai sare aalam ke aansuon se
ye kaisi aag mere dil mein bhaDak rahi hai
ai 'prem' zarb-e-sar se zindan ko toD Dalo
pabandiyon ka jina bhi koi zindagi hai
Ghazal
Dekho ki dil-jalon ki kya KHub zindagi hai
Prem Warbartani