dekho insan KHak ka putla bana kya chiz hai
bolta hai is mein kya wo bolta kya chiz hai
ru-ba-ru us zulf ke dam-e-bala kya chiz hai
us nigah ke samne tir-e-qaza kya chiz hai
yun to hain sare butan ghaarat-gar-e-iman-o-din
ek wo kafir sanam nam-e-KHuda kya chiz hai
jis ne dil mera diya dam-e-mohabbat mein phansa
wo nahin malum muj ko naseha kya chiz hai
howe ek qatra jo zahrab-e-mohabbat ka nasib
KHizr phir to chashma-e-ab-e-baqa kya chiz hai
marg hi sehat hai us ki marg hi us ka ilaj
ishq ka bimar kya jaane dawa kya chiz hai
dil mera baiTha hai le kar phir mujhi se wo nigar
puchhta hai hath mein mere bata kya chiz hai
KHak se paida hue hain dekh ranga-rang gul
hai to ye nachiz lekin is mein kya kya chiz hai
jis ki tujh ko justuju hai wo tujhi mein hai 'zafar'
DhunDta phir phir ke to phir ja-ba-ja kya chiz hai
Ghazal
Dekho insan KHak ka putla bana kya chiz hai
Bahadur Shah Zafar