dekho aisa ajab musafir phir kab lauT ke aata hai
dariya us ko rasta de kar aaj talak pachhtata hai
jangal jangal ghumne wala apne dhyan ki dastak se
koson dur ek ghar mein kisi ko sari raat jagata hai
jaane kis ki aas lagi hai jaane kis ko aana hai
koi rail ki siTi sun kar sote se uTh jata hai
meri gali ke samne wale ghar ki andheri khiDki mein
us laDki se baaten kar ke koi mujhe dohraata hai
kaisa jhuTa sahaara hai ye dukh se aankh churane ka
koi kisi ka haal suna kar apna-ap chhupata hai
kachchi munDeron wale ghar mein sham ke Dhalte hi har roz
apne dupaTTe ke pallu se koi charagh jalata hai
Ghazal
Dekho aisa ajab musafir phir kab lauT ke aata hai
Sabir Waseem