dekhne wale ko bahar se guman hota nahin
aag kuchh aise lagai hai dhuan hota nahin
apne hone ki KHabar deta hai KHushbu se mujhe
phailta hai chaar-su aur darmiyan hota nahin
raushni kar de tamasha-gah se dahshat miTe
kohr itna hai ki pas-e-manzar ayan hota nahin
sochna chaho to zer-e-pa mile haft-asman
dekhna chaho to zine ka nishan hota nahin
muntazir rahne se 'hamid' qufl ko zarben laga
aap hi khul jae dar aisa yahan hota nahin

Ghazal
Dekhne wale ko bahar se guman hota nahin
Hamid Jeelani