dekhne wala koi mile to dil ke dagh dikhaun
ye nagri andhon ki nagri kis ko kya samjhaun
nam nahin hai koi kisi ka rup nahin hai koi
main kis ka saya hun kis ke sae se Takraun
saste damon bech rahe hain apne-ap ko log
main kya apna mol bataun kya kah kar chillaun
apne sapid o siyah ka malik ek tarah se main bhi hun
din mein sameTun apne-ap ko raat mein phir bikhraun
apne hon ya ghair hon sab ke andar se hai ek sa haal
kis kis ke main bhed chhupaun kis ki hansi uDaun
pyasi basti pyasa jangal pyasi chiDiya pyasa pyar
main bhaTka aawara baadal kis ki pyas bujhaun
Ghazal
Dekhne wala koi mile to dil ke dagh dikhaun
Khalilur Rahman Azmi