dekhne us ko koi mere siwa kyun aae
mere hamrah ye naqsh-e-kaf-e-pa kyun aae
kal thi ye fikr use haal sunaen kaise
aaj ye sochte hain us ko suna kyun aae
kam nahin hai ye aziyyat ki abhi zinda hun
ab mere sar pe koi aur bala kyun aae
main bulandi pe agar jaun to kaise jaun
aasmanon se zaminon pe KHuda kyun aae
adl-o-insaf taqaza-e-mashiyyat hi sahi
zindagi hi mein magar roz-e-jaza kyun aae
dauDte KHun ki ek lahar bahut kafi hai
shafaq-e-sham ko itni bhi haya kyun aae
qaidiyon ke liye behtar hai ki ghuT kar mar jaen
raushni jab nahin aati to hawa kyun aae
log KHamoshi ka karte hain taqaza yani
sans lene ki bhi 'shahzad' sada kyun aae
Ghazal
Dekhne usko koi mere siwa kyun aae
Shahzad Ahmad