dekhne se tere ji pata hun
aankh ke pherte mar jata hun
tere honTon ke tain pan se lal
dekh kar KHun-e-jigar khata hun
aarzu mein teri yak muddat se
apne dil ke tain tarsata hun
chaw jo dil mein bhare hain pyare
tujh se kahta hua sharmata hun
bhule-bisre jo kabhi wahshi sa
tere kuche ki taraf aata hun
dekh darwaze ki surat tere
naqsh-e-diwar sa ho jata hun
tu jo nikle hai badalta aankhen
us ghaDi apna kiya pata hun
dil-e-gham-ghin ke tain murda sa
god mein apne uTha lata hun
aansu puchhun hun dilasa de de
mannaten kar ke main samjhata hun
wo nahin manta jun jun 'hatim'
tun tun jine se main ghabraata hun
Ghazal
Dekhne se tere ji pata hun
Shaikh Zahuruddin Hatim

