dekhne mein ye kanch ka ghar hai
raushni aadmi ke andar hai
kaisa ujDa hua ye manzar hai
ghar ke hote bhi koi be-ghar hai
misl-e-yunus hun batn-e-mahi mein
mere chaaron taraf samundar hai
us ke kya kya suluk dekhe hain
waqt hi baKHt ka sikandar hai
dekhne mein hai wo waraq sada
paDhne baiThun to ek daftar hai
raushni ho to koi pahchane
kaun rahzan hai kaun rahbar hai
sans lena bhi moajiza hai yahan
zindagi aag ka samundar hai
rose paDhta hun bhiD ke chehre
sab ke chehre pe ek manzar hai
us ki taswir kis tarah khinchun
mera mahbub mere andar hai
apni rudad mujh ko yaad nahin
dil ko lekin tamam azbar hai
Ghazal
Dekhne mein ye kanch ka ghar hai
Wajd Chughtai