dekhne mein to lagte hain insan se
be-KHabar hain sab apni hi pahchan se
hai tujhe yaad karne ki KHwahish bahut
dil jo ghafil kabhi ho tere dhyan se
dushmani ka koi daw-kari nahin
jit lete hain dushman ko ehsan se
dil mein shafqat ho chahat ho iKHlas ho
ghar ka matlab nahin saz-o-saman se
yun sar-e-rah un se taqabul hua
jaise milta hai anjaan anjaan se
ghar se bahar to the mutmain mutmain
ghar mein 'athar' mile hain pareshan se
Ghazal
Dekhne mein to lagte hain insan se
athar shakeel