dekhne ke liye ek shart hai manzar hona
dusri shart hai phir aankh ka patthar hona
wahan diwar uTha di mere memaron ne
ghar ke naqshe mein muqarrar tha jahan dar hona
mujh ko dekha to falak-zad rafiqon ne kaha
is sitare ka muqaddar hai zamin par hona
bagh mein ye nai sazish hai ki sabit ho jae
barg-e-gul ka KHas-o-KHashak se kam-tar hona
main bhi ban jaunga phir sahar-e-hawa se kashti
raat aa jae to phir tum bhi samundar hona
wo mera gard ki manind hawa mein uDna
phir usi gard se paida mera lashkar hona
dar-ba-dar Thokaren khain to ye malum hua
ghar kise kahte hain kya chiz hai be-ghar hona
kaisa girdab tha wo tark-e-talluq tera
kaam aaya na mere mera shanawar hona
tum to dushman bhi nahin ho ki zaruri hai 'salim'
mere dushman ke liye mere barabar hona

Ghazal
Dekhne ke liye ek shart hai manzar hona
Saleem Ahmed