dekhna us ki tajalli ka jise manzur hai
sang-reza bhi nazar mein us ki koh-e-tur hai
hum se ham-chashmi anal-haq ko kahan maqdur hai
ashk har yak-dar mizhgan par mere mansur hai
nahno-aqrab ki nahin hai ramz se tu aashna
warna wo nazdik hai tu aap us se dur hai
hijr ki shab ko agar kaTe to phir hai roz-e-wasl
nish ke parde mein dekha nosh bhi mastur hai
kya hua waiz kare hai shor jun tabl-e-tahi
wo sar-e-be-maghz goya kansa-e-tambur hai
aaj hamein aur hi nazar aata hai kuchh sohbat ka rang
bazm hai maKHmur aur saqi nashe mein chur hai
roz o shab rahta hai teri yaad mein aashiq ka dil
go muqassir hai teri KHidmat se go mazur hai
aarzu hai raat andheri mein ki aawe mah-ru
jis ke aage raushnai shama ki be-nur hai
KHaksaron ko kabhu lata nahin KHatir mein wo
husn ki daulat par apne is qadar maghrur hai
ishq hai darushshifa aur dard hai is ka tabib
jo nahin is maraz ka talib sada ranjur hai
ab talak 'hatim' se to waqif nahin afsos yar
shaeri ke fan mein wo aafaq mein mashhur hai
Ghazal
Dekhna uski tajalli ka jise manzur hai
Shaikh Zahuruddin Hatim