اردو हिंदी
Dekhna ho gar use hasti miTa kar dekh lo | Shaahi Shayari
dekhna ho gar use hasti miTa kar dekh lo

Ghazal

Dekhna ho gar use hasti miTa kar dekh lo

Harbhajan Singh Sodhi Bismil

;

dekhna ho gar use hasti miTa kar dekh lo
hai nazar ke samne KHud ko chhupa kar dekh lo

shisha-e-dil ko hamare ek nigah se dekh lo
phir usi andaz se tegh aazma kar dekh lo

gor-e-majanun pe jo laila ne kaha kya haal hai
qabr se aai sada parda uTha kar dekh lo

main koi musa nahin jo dekh kar aa jawe ghash
gar nahin bawar mujhe jalwa dikha kar dekh lo

lab shikayat ko kahin hil jawen to phir zabt kya
ek kya sau bar bande ko sata kar dekh lo

kya kahun kya haal hai dil ka tumhaare hijr mein
bas ke KHud aankhon mein aur dil mein sama kar dekh lo

umr-bhar gulzar-e-hasti ki na hogi aarzu
bulbul-e-dil ko mere qaidi bana kar dekh lo

jalwa-e-husn-e-do-alam hai usi darbar mein
sang-e-dar par un ke bas sar ko jhuka kar dekh lo

aashiyana faqr ka har barg har Tahni pe hai
jitne dil chahen jalane hon jala kar dekh lo

mere aaine mein KHud-bini ke saman hi nahin
aks-e-jaanan se bhara rahta hai aa kar dekh lo

gham nahin bijli gire jal jae dil ho jae KHak
arz ek 'bismil' ki hai ki muskura kar dekh lo