dekhiye us ko to har baat gul-e-tar ki tarah
baat kije to wahi shaKHs hai patthar ki tarah
aql hairan hai kin alfaz mein tarif karun
husn aur wo bhi chhalakte hue saghar ki tarah
barq-e-guftar sahi shoala wo talwar sahi
hum magar zarf bhi rakhte hain samundar ki tarah
aazmaoge to hum jaan se guzar jaenge
kaghzi sher nahin hain kisi afsar ki tarah
dil ko bahlate hain afsana-e-azadi se
hum ne ek tauq pahan rakkha hai zewar ki tarah
raj karte hain wahi log dilon par 'KHalid'
baKHsh dete hain jo dushman ko sikandar ki tarah
Ghazal
Dekhiye usko to har baat gul-e-tar ki tarah
Khalid Yusuf