dekhiye to KHayal-e-KHam mera
aap se aur burai kaam mera
kahin us bazm tak rasai ho
phir koi dekhe ehtimam mera
shab ki baaton par ab bigaDte ho
aankh uTha kar to lo salam mera
nam ek but ka lab pe hai waiz
hai yahi wird subh o sham mera
ghair yun niklen us ki mahfil se
jis tarah ai 'nizam' nam mera
Ghazal
Dekhiye to KHayal-e-KHam mera
Nizam Rampuri