اردو हिंदी
Dekhiye kis ko ras aate hain | Shaahi Shayari
dekhiye kis ko ras aate hain

Ghazal

Dekhiye kis ko ras aate hain

Nazim Naqvi

;

dekhiye kis ko ras aate hain
achchhe din sab ke pas aate hain

ek bhi kaam ka nahin hota
phone din mein pachas aate hain

kal to wada bhare gilas ka tha
aaj KHali gilas aate hain

tum ko badlaw chahiye Thahro
hum badal kar libas aate hain

pahle banti hai sita apradhi
baad mein tulsidas aate hain

sari duniya se mil-mila kar hum
aaKHirash apne pas aate hain

sham hoti hai tab kahin ja kar
wapas apne hawas aate hain

jaane kya ho gaya hai 'nazim' ko
har jagah wo udas aate hain