dekhiye KHak mein majnun ki asar hai ki nahin
dasht mein naqa-e-laila ka guzar hai ki nahin
wa agar chashm na ho us ko na kahna pi ashk
ye KHuda jaane sadaf bich guhar hai ki nahin
ek ne mujh ko tere dar ke upar dekh kaha
ghair is dar ke tujhe aur bhi dar hai ki nahin
aaKHir is manzil-e-hasti se safar karna hai
ai musafir tujhe chalne ki KHabar hai ki nahin
tosha-e-rah sabhi ham-safaran rakhte hain
tere daman mein 'fughan' laKHt-e-jigar hai ki nahin
Ghazal
Dekhiye KHak mein majnun ki asar hai ki nahin
Ashraf Ali Fughan