dekhiye haalat ke jogi ka kab TuTe sharap
shayad ab is ahd mein us se na ho mera milap
sahib-e-imroz afsurda-mizaj o mushtail
gardish-e-haalat ko paimana-e-farda se nap
saya-e-afkar mein kanTe sahi chhanw to ho
zehn ki aaghosh se bahar nikalna ab hai pap
dil se zauq-e-jurm-e-mehnat kah raha hai bar bar
aatish-e-ehsas ke shoalon se bhi kuchh der tap
aaine ke samne aate hue Darte hain kyun
aaina-sazon ka unwan-e-tamanna jab hain aap
apni sanson ko jala de apne dil ko toD de
waqt ke masruf sadhu ke labon par hai ye jap
Ghazal
Dekhiye haalat ke jogi ka kab TuTe sharap
Fasih Akmal