dekhiye gul ki mohabbat hamein kya deti hai
bulbul-e-zar ye hasrat se sada deti hai
tum salamat raho zinda hai tumhin se ulfat
hath uTha kar tumhein hasrat ye dua deti hai
kya kahun aah mein tum se ki mohabbat kya hai
ye wo shai hai ki jo insan ko miTa deti hai
sachchi ulfat bhi ajab chiz hai allah allah
jalwa-e-yar ko har shai mein dikha deti hai
sar-e-taslim tah-e-tegh jhuka de apna
ye sada dil se mere us ki raza deti hai
wae-barbaadi-e-qismat ki pas-e-marg saba
KHak ushshaq-e-jafa-kash ki uDa deti hai
KHana-e-dil mein 'jamila' yahi us ki ulfat
yas-o-arman-o-tamanna ko biTha deti hai
Ghazal
Dekhiye gul ki mohabbat hamein kya deti hai
Jameela Khuda Bakhsh