dekhiye be-badani kaun kahega qatil hai
saya-asa jo phire us ko pakaDna mushkil hai
rag-e-har-lafz se riste hue KHun se ghabra kar
main jo KHamosh raha sab ne kaha tu jahil hai
tajraba dil mein rahe to khule aansu ban ban kar
aur kaghaz pe chhalak jae to sham-e-mahfil hai
jo bhari duniya ki sangin ajaib-nagri mein
apna sar aap na phoDe wo jahannam wasil hai
lab-e-dariya ko milane ka tariqa kaisa hoga
donon jhukte hain magar bich mein dariya hail hai
Ghazal
Dekhiye be-badani kaun kahega qatil hai
Shamsur Rahman Faruqi