اردو हिंदी
Dekhi hai maine ye bhi nairangi-e-zamana | Shaahi Shayari
dekhi hai maine ye bhi nairangi-e-zamana

Ghazal

Dekhi hai maine ye bhi nairangi-e-zamana

Sahar Mahmood

;

dekhi hai main ne ye bhi nairangi-e-zamana
insaf ki rida mein andaz-e-zalimana

kitne hasin din the anjaan the jahan se
aata hai yaad ab wo guzra hua zamana

tere hi dam se yarab aabaad hai ye duniya
hai bas yahi haqiqat baqi jo hai fasana

koi nahin dikhata ab to hunar-shanasi
uThti hai jo nazar bhi hoti hai naqidana

kitna hasin tera andaz-e-guftugu hai
ji chahta hai likh dun tujh par koi fasana

tum kya gae ki duniya maghmum lag rahi hai
ab zindagi ye mujh ko lagti hai qaid-KHana