dekhi bahaar hum ne kal zor mai-kade mein
hansne sin us sajan ke tha shor mai-kade mein
the josh-e-mul sin aisi shorish mein dagh dil ke
goya ki kudte hain ye mor mai-kade mein
phanda rakha tha main ne shayad ki wo pari-ru
dekhe to pas mere ho daur mai-kade mein
hai aarzu ki hamdam wo mah-ru ho mera
de sham sin jo pyala ho bhor mai-kade mein
saqi wahi hai mera 'naji' ki gar marun main
mujh waste bana de ja gor mai-kade mein
Ghazal
Dekhi bahaar humne kal zor mai-kade mein
Naji Shakir