dekhen tujhe na aawenge hum
kahna nahin kar dikhawenge hum
ye jaur koi uThawe kab tak
uTh dar hi se tere jawenge hum
ghar se mujhe mat nikal sun rakh
jawenge to phir na aawenge hum
tu qat-e-nazar to hum se kar dekh
nazron se tujhe girawenge hum
do din kabhu tere ghar na aawen
ghar apne tujhe bulawenge hum
ghar us ka to DhunD kar ke paya
ya-rab use ghar bhi pawenge hum
aghmaz kare hai sab samajh kar
kya haal use sunawenge hum
bose to diye hain tin tu hans hans
gali teri kyun na khawenge hum
itni bhi paka na meri chhati
ai ghair tujhe rijhawenge hum
dil wo tujhe puchhe ya na puchhe
par yaad teri dilawenge hum
tab us ki jafaon ki kisi tarah
'hasrat' ab to na lawenge hum
Ghazal
Dekhen tujhe na aawenge hum
Hasrat Azimabadi