dekhen kya ab ke asiri hamein dikhlati hai
log kahte hain ki phir fasl-e-bahaar aati hai
ghash chala aata hai aur aankh mundi jati hai
hum ko kya kya meri be-taqati dikhlati hai
kya suna us ne kahin ruKHsat-e-gul ka mazkur
andalib aaj qafas mein paDi chillati hai
taer-e-ruh ko parwaz ka har dam hai KHayal
qafas-e-tan mein meri jaan ye ghabraati hai
dekh rote mujhe hans hans kahe jaana har dam
jaan se mujh ko to teri ye ada bhati hai
bazm-e-hasti mein tu baiTha hai 'hawas' kya ghafil
kuchh jo karna hai tu kar umr chali jati hai
Ghazal
Dekhen kya ab ke asiri hamein dikhlati hai
Mirza Mohammad Taqi Hawas